RAS RANG BHRAMR KA WELCOMES YOU

Tuesday, February 15, 2011

“Chanda Ko dekh mn” Bhramar Hindi Poems (Kavita)

“Chanda Ko dekh mn” Bhramar Hindi Poems (Kavita)

Sagar sa shant mn,
Sadiyon se klant mn,
Gahrayi naap naap,
Parvat se lada mn,
Moti ko dekh dekh,
Doobe- utraye..
Uchhle- itraye,
Ab tak ka khaara mn
Meetha ho jaye
‘Chanda’ ko dekh dekh
Lahar …Lahar jaye>>>>

Kal –kal kare nadi,
Suraj ki kirno se
Swarnim saji nadi
Chattano se ladi,
Jharno se aa giri,
Sone v chandi ke
Khano se gujri
Ruki nahi-thami nahi
Chalti hi jaye
Saagar ki bahon me
Gota lagaye…
Priytam ‘aagosh’ me
Khoyi chali jaaye ….

‘Chanda’ ko dekh kuchh
Geet gungunaye…
Lahar …Lahar jaye>>>>

 Andhkar dekh-dekh
Duniya me bhatka mn
Vyagr-ugr-ekaaki-
Andhar se ujda man
Dekh ek roshni
Khincha chala jaye
‘Diya’ jala dekh mn
Diwali manaye…
‘Chanda’ ko dekh mn
Heere v chandi sa
Chamak-chamak jaye>>>>

Sharmayi si kali
Bandhan-jakdi pali
Phoolon ko dekh- dekh
Khilne ko ‘pankhuri’
Md se bhari badhi
Kaanto ko dekh sang
Sahmi dari kali
Bhaunre ko dekh
Fir saahas jutaye
Khili chali jaye…
Chanda’ ko dekh mn-
-Kamal
khila khila jaye>>>>>

Mera Kishor mn
‘Pijare’ se mukt mn
Hariyali jharno me
Phoolon v kaliyon me
Kheton v bagiyon me
Pyari si galiyon me
Saagar ki lahron me
Nadiyon v jheelon me
Dhoondhta firey-koi-
Bulbul v Hansini
Koyal v Morni
Pyari si sangini
Moti chuge ye mn..
“Hans’ bana !
“Gori” ki payal-
ki thirkan sune
  -to mn-
gaane ko geet,
vyagra –aakul-
hua ye mn..
Peepal ke patton
sa shor machaye..
‘Aaam’ sa bauraye..
Aayi “Basanti”-
Ne-mn lalchaye
Ye !
Tadfadaye
Pankh fadfadaye..
Uda chala jaye>>>>

‘Chanda’ ko dekh mn
Hahar –Hahar jaye.

Surendrashukla”Bhramar”
7.30 A.M.
15.2.11 Jal( Pee Bee)

No comments: