RAS RANG BHRAMR KA WELCOMES YOU

Saturday, February 12, 2011

“Nasha Aankh se chhalka”-Bhramar

“Nasha Aankh se chhalka”-Bhramar-Hindi poem.

Shahnayi ne geet sunakar,
Gath –Bandhan kr,
Do dil – praan milaya,
Bachpan ka vo pala-
Sunahri sapna sach ho aaya,
Chhuyi muyi si sharmayi si,
Dulhan bhaanvar ghume saat,
Saat bachan ‘vo’ saat pratigya,
Agni ke sang le le,
Aashirvachan judayi lekar,
Mahal –dumahale tyag,
Ek ajnabi ke sang –
chal di-pakda usne haath,
pahla vo sparsh – haay re>>>>
mn uska lahraaya,
jaise hava Basanti ne ho,
‘Kali’ ko phool banaya,
punkesar –kesar –hr dal-
madmast aaj gadraaya,
madhur “gandh” maadkta ne,
fir bhaunre ko lalchaya,
nasha chadha purjor –gandh-
“vo” mn me halchal maare,
koas rahe kb din jaye ab,
‘Nisha’ aa pavn pasare,
ghoom raha –bhaunra aa baithe,
nain se nain mila le,
chaand chuupa hai –baadal –ghunghat-
ab to aa ke khole,
saji huyi “murat” si dulhan,
kone me thi simti,sisak-
uthi-sparsh-pyar fir jam,
najar ka pee ke-uthti lahren,
jalta tan-mn –nasha aankh-
se chhalka-hothon se pyala
fir pee ke –aalingan me bandh ke
doori kitni kam kr daalen,
koshis fir ahsas.kuchh pal me-
kuchh yaad raha n –Hichkoli-
khati vo “Doli” aa pahunchi-
seema ke paar-ghar me , ek naye
aangan me –phool khilenge.

Shahnayi ne geet sunakar,
Gath –Bandhan kr,
Do dil – praan milaya.

7.32A.M. Jal (PB) 12.2.11

No comments: